Monday, April 28, 2008

Yeh yaadein bhulaaoon kaise.............

Ek aur din zindagi mein,
jud gaya yaa kam hua
ek aur din zindagi mein,
beet gaya ya ganva diya
har guzre lamhe ki keemat
koi bataye lagaoon kaise
jin yaadon se hai hasti meri...
woh yaadein bhala bhulaoon kaise.....

Jis aarzoo ki bandish mein,
armano ko sajaya tha,
usee tamanna ko fir maine,
dil mere dafnaya tha,
zakhm mit gaye hain lekin
yeh dard bhala mitaoon kaise
yeh yadein bhulaoon kaise?

jab hosh nahin tha duniya ka,
begaane apne lagte the,
hosh sambhala to dekha
apne anjaane lagte hain,
na-samajh mein duniya na samjha
yeh duniya ko samjhaaoon kaise....
yeh yaadein bhulaaoon kaise?

bachpan ke aasoo-on ki
nami aankhon se gayee naheen hai,
adhoore khwaab aur khwahishon ka
ehsaas zahan mein kahin hai
jo vaade kiye the khud se,
woh vaade nibhaaoon kaise...
yeh yaadein bhulaaoon kaise?

beete waqt ki dhundhli tasveerein,
kismat ki kaisi ajab lakeerein
ginti ki hai saansein lekin
har saans mein zindagi bitaoon kaise
ankahi baatein hain jo dil mein
woh ab bhala bataoon kaise....
yeh yaadein bhulaaoon kaise?